ब्लॉग खोजें

beabouthealth, behealthy, smoking, diet, befit, exercise, abutheight, aboutweight, baldness, pimples, fever, common cold, cough, headche, stomachche,

Daatdard ke gharelu nuskhe | daatdard ke kaaran, Lakshan aur upaay

 

[DISCLAIMER:- Iss Post Mein Jitne Bhi Maine Tips Bataye Hai. Ye Jo Tips, Informations Hai Ye Maine Internet Ki Madad Se Li Hai. To Aap Kisi Doctor Ki Salah Lekar Hi Try Kijiye.]

 

daatdard ke nuskhe, daatdard ke gharelu nuskhe, daatdard ke upaay, daatdard, daatdard ke gharelu upaay in hindi, daatdard ke gharelu nuskhe in hindi 2021
Daatdard ke upaay

Hello friends, mera naam hai Pawan and welcome to back my Site. So friends, aaj ki iss post mein aapko hum ye batane wale hai ki, agar aapka Daat (Tooth) dard karta hai, to aap hamare yeh nuskhe jarur follow kijiye. So friends, kya aapke Toothpest mein Namak ho yaa na ho magar jab daato mein dard hota hai. To friends, aap garam (Hot) paani mein Namak daalkar Kulle karne se aapko jaldi aaram milega.

So friends, aapka bahut daat dard kar raha hai to aap bilkul mat ghabraaiye kyunki maine aapke liye bahut saare gharelu nuskhe laaye hai, jisse ki aapka daatdard jaldi hi thik gayab ho jaayega. Aur saath hi saath mai aapko yeh bhi bataunga ki, aapka daatdard kyun hota hai, aur daatdard karne ke konse hote hai, lakshan aur kaaran, to friends, sirf aap yeh puri Post jarur padhe.

 

*1:- Daatdard Ke Kaaran (Reason).


Agar friends, aapke daato mein moo mein maujood bacteria Starch aur Sugar ke kaaran failane lagte hai. To friends, chaliye dekhte hai ki, konse hai wo daatdard karne ke kaaran.

A:- Aaapke Daato (Tooth) mein jado mein infection hone ke kaaran bhi aapko daatdard ho jaata hai.

B:- Aapka Daat (Tooth) tisne ke kaaran.

C:- Daato (Tooth) Mein chot lagne ke kaaran.

D:- Daato (Tooth) mein crack hone ke kaaran.

E:- Akkal ki daadh aane ke kaaran.

To friends yeh hai Daato (Tooth) ke kaaran jisse ki aapka daatdard hota hai.

 

*2:- Daatdard Ke Lakshan (Symptoms).


Friends, daatdard karna bhi eka am baat hai. Friends, aapka daatdard tab karta hai ki, jab aap jyada Thanda yaa Garam khaate ho. To friends, chaliye dekhte hai ki, konse hai wo daatdard karne ke Lakshan (Symptoms).

A:- aapka daatdard tab hota hai ki, aap kuchh chabaate ho.

B:- Thanda aur Garam khaane se.

C:- Daato ke chaaro taraf yaa jabde mein Sujan aana.

D:- Daat ki jagah par chhot aana.

E:- Aur aapke daat jab kamjor hote hai, tab bhi aapke daato mein bahuti hi jyada dard karta hai.

 

 

Daat dard Ka Upchr Kaise Hota hai..

To friends, mai ab aapko bataunga ki, aapke daatdard  ka uochaar kaise hota hai, yeh mai aapko bataunga.

A:- Friends, aapke daato mein  fase hue bhojan ke kano se nikalne ke dentle flance ka prayog kijiye.

B:- Aur friends, uske baad aap Halke paani mein Gun-gune  paani mein namak milakar kulla kare.

C:- friends, aap ek kaam kijiye ki, aap Daat ke dard wale hisse  yaa Dard wali jagah par Laung ka Tel (Oil) ek rui ke tukde ki sahayata se lagaya jaa sakta hai. Aur uske baad friends, isko lagaane se dard mein aaram milta hai.

D:- friends, aapke daatdard ko aaram ki sahi suhidha se bhi kam kiya jaa sakte hai. Bed par letne ke baad apne sir ko unchaai wale sthaan par rakhne se data ke dard aur dabaav ko kam kiya jaa sakte hai.

 

 

Friends, maine aapko niche kuchh tips dedi hai, to aap uss tips ko jarur follow kijiye.

 

*1:- Lahsun.


*2:- Pyaj.


*3:- Nimbu.


*4:- Laung.


*5:- Kaali Mirch Powder.


*6:- Aalu.


*7:- Baraf.


*8:-Tea-Bag.

 

Friend upar maine aapko jo tips dedi hai, uski jankari (Information) maine niche dedi hai. To aap iss tips ko jarur follow kijiye.

 

 

*1:- Lahsun.

Friends, Lahsun ked awe ko namak mein doobokar chabaaye. Aur uske baad daato ke dard mein aaram hoga. To friends, aap roj subah Lahsun ka jawaa chabaane se daat majboot rahte hai. To friends, aap yeh bhi nuskha try kar sakte hai.

To friends, aap yeh  nuskha try Or follow kar sakte hai.

 

 

*2:- Pyaj.


Friends, dusra jo nuskha hai, wo hai ki, aap roj subah ek kachha pyaj khaane se bhi daato ke dard mein aaram milta hai. Aur uske baad friends, mai aapko ek baat bata du ki, doctor ka yeh maanana hai ki, Har 3 Minute par ek Slice pyaj ki khaane se hamare  Mouth mein maujood kitanu Bacteria mar jaate hai. Aur aapko jaldi hi aaram milega.

To friends, aap yeh bhi nuskha try Or follow kar sakte hai.

 

 

*3:- Nimbu.


So friends nimbu mein Vitamin C mein ka bada Strot hai, aur friends, daato ke dard waale hisse par nimbu ka jo katra hota hai, to aapka daatdard jaha dard karta hai, waha par yeh Nimbu ka katra lagaane se aapko turant aur jaldi se jaldi aaram milega aur raahat milegi.

To friends, aap yeh bhi nuskha try Or follow kar sakte hai.

 

 

 

*4:- Laung.


Friends, laung Daato mein dard ho to hamare Mouth mein Laung rakhne se aaram milta hai. Aur uske baad friends, Tej Dard hone ke dauraan dard waale hisse par laung ka tel (Oi) lagana aapke liye bahuti hi faydemand rahega. To friends, aap yeh bhi nuskha try kar sakte hai.

To friends, aap yeh bhi nuskha try Or follow kar sakte hai.

 

 

 
*5:- Kaali Mirch Powder.


Friends, agar aapke ghar yaa kitchen mein kaali mirch ki powder hai to aapko daatdard se jaldi hi chhutkara mil jaayega. Daato mein tej dard se aaram ke liye ek chauthaai chammach namak mein ek chutki Kaali Mirch Powder milakar dard waale hisse par lagaaye. Aur friends uske baad aapko turant aaram milega.

To friends, aap yeh bhi nuskha try Or follow kar sakte hai.

 

 

*6:- Aalu.


Friends, aalu daato mein dard ke saath Sujan ho to aalu chilkar uski Slice uss bhaag par lagaaye jaha aapka daatdard 15 minute mein gaayab ho jaayega. To friends, aap jarur yeh nuskha ghar pe jarur try kijiye.

To friends, aap yeh bhi nuskha try Or follow kar sakte hai.

 

 
*7:- Baraf.


Friends, aap ek kaam kijiye ki, aapke daato ke dard waale hisse par 15 se 20 minute tak baraf se sekai kare. Aur friends, aap din mein kam se kam 3 se 4 time apne daato ki sekai kare, aur friends, yeh bhi nuskha aapke liye bahuti hi faydemand rahega.

To friends, aap yeh bhi nuskha try Or follow kar sakte hai.

 

 
*8:-Tea-Bag.



Friends, aap bologe ki yeh Tea bag kya hai bhai to friends, yeh jo tea bag hai, usko aap Garam paani mein Tea bags rakhe aur phir use dard waale bhaag ki Sekai kare. Aur friends, uske baad aapko jaldi hi aaram milega. To friends, yeh bhi nuskha aapke liye bahuti hi accha hai.

To friends, aap yeh bhi nuskha try Or follow kar sakte hai.

 

 

Friends, mai ummid karta hu ki, aapko yeh post jarur pasand aayi hogi. To friends, aapko koi bhi health ke baare me sawal ho to aap mujhe comment ke through jarur batana.

Thank You👍👍

0 Comments:

एक टिप्पणी भेजें

Please do not enter any spam link in the comment box.